Home / Shayari SMS /

Banany Wale Ne Ek DOST Mere Lia Banaya Hy

by Muhammad Imran

Banany wale ne ek DOST mere lia banaya hy,
Jise aap k roop mein mainey paaya hay,

Jo mere dil main aise samaya hy,
Jaise purani haeli main “BHOOT” ka saaya hay

Category: Shayari SMS

Haqiqat Samjho Ya Afsana

by Muhammad Imran

Haqiqat samjho ya afsana,
Apna samjho ya baigana,

Hamara aapka rishta he purana,
Is liye farz tha aap ko batana,

kay garmiyan aa gayi hain,
Ab shuru ker do roz nahana!

jao nahao (,?. *,?.)

Category: Shayari SMS

Wo Shakhs Meri Jaan Bana Rehta Hy

by Muhammad Imran

Wo shakhs meri jaan bana rehta hy,
Uska pyar meri pehchan bana rehta hy,

Koi muntazi hy uska kitni shiddat se,
Wo janta hy magar anjan bana rehta hy…

Category: Shayari SMS

Kaanto K Badlay

by Muhammad Imran

Kaanto k badlay
Phool kia do ge,

Aansoon k badlay
Khushi kia do ge,

Hum chahtay hain aap se umar bhar ki dosti
Hamary is SMS ka jawab kia do gay…?

Category: Shayari SMS

Mahak Dosti Ki Ishq Se Kum Nahi Hoti

by Muhammad Imran

Mahak dosti ki ishq se kum nahi hoti
Ishq se zindgi khatam nahi hoti
Sath agar ho zindgi main doston ka
To zindgi jannat se kum nahi hoti

Category: Shayari SMS

Dil Diya Tha MOHABBT Ki Nishani Samajh Kar

by Muhammad Imran

Dil diya tha MOHABBT ki nishani samajh kar,
Wo kha gaya use BIRYANI samajh kar.
Khoon-e-jiger B na chora zalim ne,
Wo B pi gaya LIMON PANI samajh kar.

Category: Shayari SMS


SMS Messages by Category